On Page Seo Tips In Hindi

Agar Aap Ek Blogger Hai toh Seo ke baare me aapne suna hoga Ki What Is Seo Kya Hota Hai . And Ye blog Website Me kaise kaam karta hain . lekin jab tak hamara blog puri traha search engine se optimization Nahi Hota tab tak hamare blog par ham target traffic nahi paa sakte . Hamne Pichli Post Me SEO ke Baare Me Bhut Kuch Jana Isliye Is Article me ham On-Page SEO Tips In Hindi Ke baare Me Janenge Jo Hamare Liye Useful Bhi Hongi .

Isko Kaise Use kare Jisse Ki Hamari Website Search Me First page Par Aaye Bhut Log iske baare Me Janna Chahte hain But Kuch log Hi Seo Optimization Techniques ko Jan Pate Hain Aor Kuch bloggers Ko Iske baare me Samajne me Bhut Time Lag Jata H . Ab iss post me ham On Page SEO Ko Search Engine Se Kaise Optimize Kare Ye Janenge .

Blog me badhiya tarike Se Use Karne Ke baare me janenge ki kis traha ham blog me on page seo ko perfect kare . Ye Apne Blog Ke Andar Ka Ek Part H Jisse isse badhiya Traha Se Optimize Karne ki full permission hoti H . Iska Pura Control Hamare Site Ki Post Editor Se Connect Hain . Isliye jitni achhi ham On Page Seo Techniques banayenge utni achhi rank hame search engine me milegi.

Top 10 On Page SEO Tips And Tricks In Hindi

1. Write A SEO Friendly & Killer Post Title

Jab ham new post likhate H toh pheli galti toh ham post title likhne me kar dete H . Jab new post likhe toh post ka title esa hona chahiye jiska puraa matlab post ke andar ke Content keyword se Milna Chahiye And Search Engine / Reders Ko Title se yeh samaj aa jana chahiye ki post ke ander kya – Kya hoga .

Aor yeh check karne ke liye ki konsa post title search engine me badhiya rank de sakta hain unko alag – alag traha se search karke dekhe . ab jo bhi Aapko Engine me badhiya rank dila sake usko hi apni post ki heading banaye.

2. Target SEO Keywords Under post

Aap kishi bhi topic par new post likhe toh post ke under ese keywords ko use karna chahiye jo kuch kaam ke ho aor search me badhiya rank dila sake . faltu ke keywords ko apne post me edit naa kare. Kishi bhi post ko search engine me badhiya rank dilane ke liye post ke ander kam se kam 400 words hona jaruri hain.

Target keywords pane ke liye aap google AdWords tool yaa keywordtool .io ki madad le sakte H. inn sites par aap blog post ke liye SEO Target Aor best keyword search kar sakte H.

3. Permalink your post

Blogger blog me apne post ki url ko apne hisab se set karne ke bhi badhiya subhidha H . wese toh permalink post title ke hisab se automatic ban jati H lekin isko aap apne hisab se edit karke aor bhi badhiya bana sakte hain jisse search engine me badhiya result mil sake .
Meri post ka example dekhe
Ex :-

hindinetbook.com/2016/1/10-on-page-seo-tips.html ×

http://www.hindinetbook.com/2016/1/on-page-seo-tips.html

4. Search Description

Permalink ke just niche yeh options hota hai new post likhte samay iska bhi use karna chahiye kyu ki iske andar ham readers ko batate hai ki post ke ander kya hain . isme 20-100 words me post ke target keyword jarur likhe kyu ki jab ham post ko social media par share karte hai toh waha par post ka description dikhai deta H .

5. Use H1 H2 H3 Heading

Heading ka matlab aap jante hi honge lekin heading ka kya fayda H isko nahi jante . toh mai aapko bata du ki search engine me heading bhi utna accha result deta hai jitna post ka title . post ke ander ke main keyword ko heading me badalna nahi bhule.

Aor post ke ander 2-3 heading ka jarur upyog kare. Heading ko aap kishi bhi color me show kar sakte hain . aap meri post ke ander dekh sakte ho ki maine heading ko high black color me dikhaya H .

6. Post Me Photo use kare

Kishi bhi post me kam se kam ek images jarur use kare kyu ki ek photo 500 words ke barabar hoti H aor jo readers hain unko image se yeh baat conform ho jati h ki post ke ander kya hoga toh fir readers post ko jayada samay tak padega And hamare blog ko bouns rate ( readers ke blog par rukne ka time ) Accha hota hain . aor haan images ko seo friendly banane ke liye usme captions , alt , properties jarur add kare.

7. Check Blog loading time

Yeh baat pata kare ki aapki Site kitni jaldi Open hoti H . jisko aap google page speed tool aor GTmatrix.com par Jake check kar sakte hain . Aapke blog ki page speed time 0.4 second yaa isse kam honi chahiye kyu ki aapka blog jitna fast hoga google me Website ki CTR Badhegi.

Aor agar aapke Website par indian reader H toh aapko apne blog ki page speed fast karne ki jarurat H .

8. Use internal link

Aap post likh rahe ho aor agar dusre related post ki link use nahi karte ho toh aapke blog ki Bouns Rate Badhne ki puri sambhavna H aor iska nukasaan aapko aor aapke blog ko bhughtna padega .

Kyu ki agar aap post ke andar kishi dusre post ki link use karenge toh isse aapke readers aapki website par 4-5 Page View Tak bane Rahenge aor aapke website par visit time bhi growth karega Toh isse aapko hi fayda hoga .

9. Fast loading tamplate and blog design

Yeh toh sabse important fact H aapke liye kyu ki agar aapke blog ki design badhiya hogi toh logo ke man me aapke blog ki ek chavi ban jaygi aor Phir unka fir se blog par aane ka rasta khul jayga . Lekin design ke sath – sath blog ke khulne ki bhi speed fast honi chahiye . Iske Liye Fast Loading Template Theme Use Kare .

10. Add Social wedget

Site me sirf kaam ke hi wedget add kare aor faltu ke wedget add naa kare . blog post ko social media par share karne ke post ke niche social share button add kare . Agar Aapki Website Me Social Media Wedget Honge Toh Readers Aapse Connect Me Rahega .

Finally Friends Ye Thi Top On Page Seo Tips Techniques List In Hindi Me Jo Aapke Bhut Kaam Ki Hogi . Toh aap ab Iske baare me jan gaye honge ! Ab aap ko batana hoga ki aapne kya -2 samjha H on page seo ke baare me Aor Aap iske baare me kuch Sawaal Puchna Chahte H Toh Comment Me Share Kar Sakte Hain .

Leave a comment